Skip to content
@AditiKamalapuri@AditiKamalapuri

Lyrics: Koi Jo Mila To Mujhe Aisa Lagta Tha Jaise Meri Saari Duniya Main Geeton Ki Rut Aur Rangon Ki Barkha Hai Khushbo Ki Aandhi Hai Mehki Hui Si Ab Saari Fizayein Hain Behki Hui Si Ab Saari Hawayein Hain Khoyi Hui Si Ab Saari Dishayein Hain Badli Hui Se Ab Saari Adayein Hain Jaagi Ummengein Hain, Dhadak Raha Hai Dil Saanson Main Toofan Hain, Hoton Pe Nagme Hain Aankhon Main Sapne Hain, Sapnon Main Beete Hue Saare Vo Lamhe Hain Jab Koi Aaya Tha, Nazron Pe Chhaya Tha Dil Main Samaya Tha, Kaise Main Bataun Tumhe, Kaise Use Paya Tha? Pyaare Se Chehre Pe Bikhri Jo Zulfein Toh.. Aisa Lagta Tha Jaise Kohre Ke Peeche Ek Os Mein Dhula Hua Phool Khila Hai Jaise… Badal Main Ik Chaand Chhupa Hai Aur Jhaank Raha Hai, Jaise Raat Ke Parde Main Ek Savera Hai… Roshan Roshan .. Aankhon Main Sapnon Ka Saagar, Jismain , Prem Sitaron Ki Chaadar, Jaise Jhalak Rahi Hai Lahron Lahron Baat Kare, Toh Jaise Moti Barse Jaise Kahin Chandi Ki Payal Goonjey Jaise Kahin Sheeshe Ke Jaam Girey Aur.. Chhan Se Tootey Jaise Koi Chhip Ke Sitaar Bajaye Jaise Koi Chaandani Raat Main Gaye Jaise Koi Haule Se Paas Bulaye Kaisi Meethi Baatain Thi Woh Kaisi Mulakaatein Thi Woh Jab Maine Jaana Tha Nazron Se Kaise Pighalte Hain Dil Aur Aarzoo Paati Hai Kaise Manzil Aur.. Kaise Utarta Hai Chaand Zameen Par Kaise Kabhi Lagta Hai Swarg Agar Hai, To Bas Hai Yahin Par Usne Bataya Mujhe, Aur Samjhaya Mujhe Hum Jo Mile Hain, Humein Aise Hi Milna Tha Gul Jo Khile Hain, Unhe Aise Hi Khilna Tha Janamon Ke Bandhan, Janamon Ke Rishtey Hain Jab Bhi Hum Janame Toh, Hum Yuhin Milte Hain Kaano Main Mere Jaise, Shehed Sa Ghulne Lage Khwaabon Ke Dar Jaise Aankhon Mein Khulne Lage Khwaabon Ki Duniya Bhi Kitni Haseen Aur Kaisi Rangeen Thi Khwaabon Ki Duniya Jo Kehne Ko Thi Par Kahin Bhi Nahi Thi Khwaab Jo Toote Mere, Aankh Jo Khuli Meri Hosh Jo Aaya Mujhe, Maine Dekha Maine Jaana Woh Jo Kabhi Aaya Tha, Nazron Pe Chhaya Tha Dil Main Samaya Tha, Ja Bhi Chuka Hai Aur Dil Mera Hai Ab Tanha Tanha Na Toh Koi Armaan Hai, Na Koi Tamanna Hai Aur Na Koi Sapna Hai Ab Jo Mere Din Aur Ab Jo Meri Raatein Hain Unmein Sirf Aansoon Hain Unmein Sirf Dard Ki Ranj Ki Baatein Hain Aur Fariyaadein Hain Mera Ab Bhi Koi Nahi Main Hoon Aur Khoye Hue Pyaar Ki Yaadein Hai Main Hoon Aur Khoye Hue Pyaar Ki Yaadein Hai Main Hoon Aur Khoye Hue Pyaar Ki Yaadein Hai [ This take too much time ⌚] [Give a like ]

12.2Klikes428replies+14/dayOct 10, 2025
On channel
#86
Overall
#26,445
Video views
56.9M